Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat abbas

  • Ghazal


uljhi aqidaton ke bayanat ham-safar


uljhī aqīdatoñ ke bayānāt ham-safar
jis raah bhī ga.e ye ḳharābāt ham-safar

muskil-tarīn ḳhvāhish-e-tahqīq kā safar
pur-ḳhār rāstoñ pe mukāfāt ham-safar

dil kī taḌap ke vāste mahbūb nā-guzīr
rāh-e-vafā meñ ġham ke kināyāt ham-safar

thī dar-ba-dar ye aql to us kī talāsh meñ
lekin qadam qadam pe ḳhurāfāt ham-safar

ik ham ki har paḌāv pe bechārgī kā saath
ik vo ki har-qadam pe karāmāt ham-safar

saath apne jalva jalva bhaTaktī huī nazar
be-tābiyoñ meñ shauq-e-mulāqāt ham-safar

uljhi aqidaton ke bayanat ham-safar
jis rah bhi gae ye KHarabaat ham-safar

muskil-tarin KHwahish-e-tahqiq ka safar
pur-KHar raston pe mukafat ham-safar

dil ki taDap ke waste mahbub na-guzir
rah-e-wafa mein gham ke kinayat ham-safar

thi dar-ba-dar ye aql to us ki talash mein
lekin qadam qadam pe KHurafat ham-safar

ek hum ki har paDaw pe bechaargi ka sath
ek wo ki har-qadam pe karamat ham-safar

sath apne jalwa jalwa bhaTakti hui nazar
be-tabiyon mein shauq-e-mulaqat ham-safar


Leave a comment

+