Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat abbas

  • Ghazal


meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena


mirī mohabbat kī be-ḳhudī ko talāsh-e-haqq-e-jalāl denā
kabhī jo pābanda-e-sitam huuñ mujhe bhī azm-e-maqāl denā

mohabbatoñ kī ye shoḳhiyāñ haiñ ye e'timād-e-vafā hai merā
bigaḌ ke fihrist-e-āshiqāñ se kahīñ na mujh ko nikāl denā

rah-e-mohabbat kī saḳhtiyoñ se jo rañg-e-ruḳh thā jhulas chukā hai
tumhārī ulfat pe mar rahe haiñ mirā bhī chehrā ujaal denā

tumhārā sab ham ko jānte haiñ to apnī izzat kī laaj rakh ke
hamārī hastī ke aa.ine ko koī hunar kuchh kamāl denā

tumhī to ho miir mai-kade ke tumhī ho sāqī-e-tishna-kāmī
ham apnā sāġhar liye khaḌe haiñ zarā sī is meñ bhī Dhaal denā

sunī haiñ fayyāziyāñ tumhārī tumhāre mastoñ meñ hai ye shohrat
hai mere saaqī kā ye vatīra ki jaam bhar kar ubaal denā

pasand haiñ tum ko bhīgī āñkheñ larazte lab aur udaas chehre
visāl kā jab irāda karnā mujhe bhī rañg-e-malāl denā

meri mohabbat ki be-KHudi ko talash-e-haqq-e-jalal dena
kabhi jo pabanda-e-sitam hun mujhe bhi azm-e-maqal dena

mohabbaton ki ye shoKHiyan hain ye e'timad-e-wafa hai mera
bigaD ke fihrist-e-ashiqan se kahin na mujh ko nikal dena

rah-e-mohabbat ki saKHtiyon se jo rang-e-ruKH tha jhulas chuka hai
tumhaari ulfat pe mar rahe hain mera bhi chehra ujal dena

tumhaara sab hum ko jaante hain to apni izzat ki laj rakh ke
hamari hasti ke aaine ko koi hunar kuchh kamal dena

tumhi to ho mir mai-kade ke tumhi ho saqi-e-tishna-kaami
hum apna saghar liye khaDe hain zara si is mein bhi Dhaal dena

suni hain fayyaziyan tumhaari tumhaare maston mein hai ye shohrat
hai mere saqi ka ye watira ki jam bhar kar ubaal dena

pasand hain tum ko bhigi aankhen larazte lab aur udas chehre
visal ka jab irada karna mujhe bhi rang-e-malal dena


Leave a comment

+