Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Idris Babar

  • Ghazal


so duniya mein jina basna dil ko marne mat dena


so duniyā meñ jiinā basnā dil ko marne mat denā
yaar kirā.e-dār ko ghar par qabza karne mat denā

job zarūrī hotī hai sāhab majbūrī hotī hai
job ke ghanchakkar meñ paḌ kar ḳhvāb bikharne mat denā

aisī lahreñ aisī bahreñ kab qismat se miltī haiñ
achchhe māñjhī ab nayyā ko paar utarne mat denā

ek dafa kā zikr hai donoñ ik lahore meñ yakjā the
ek dafa kā zikr hai us ko kabhī mukarne mat denā

maal pe rash kaafī hogā bas ek do kash kaafī hogā
ab kisī car ko kisī savār ko sar se guzarne mat denā

murda na.are lagāne vaale zinda gosht jalā sakte haiñ
is be-ant hujūm ko ḳhud se ziyāda Darne mat denā

so duniya mein jina basna dil ko marne mat dena
yar kirae-dar ko ghar par qabza karne mat dena

job zaruri hoti hai sahab majburi hoti hai
job ke ghanchakkar mein paD kar KHwab bikharne mat dena

aisi lahren aisi bahren kab qismat se milti hain
achchhe manjhi ab nayya ko par utarne mat dena

ek dafa ka zikr hai donon ek lahore mein yakja the
ek dafa ka zikr hai us ko kabhi mukarne mat dena

mal pe rash kafi hoga bas ek do kash kafi hoga
ab kisi car ko kisi sawar ko sar se guzarne mat dena

murda nare lagane wale zinda gosht jala sakte hain
is be-ant hujum ko KHud se ziyaada Darne mat dena


Leave a comment

+