lamha lamha phailtī jaatī hai raat
qatra qatra zahr Tapkātī hai raat
muskurā kar saath ho letā hai din
jab bhī tanhā chhoḌ kar jaatī hai raat
terī qurbat kī mulā.em dhuup ko
saath bistar par bhī le aatī hai raat
qabl is ke lauT kar aa.uuñ maiñ ghar
jism se us ke lipaT jaatī hai raat
din khaḌā hai haath meñ ḳhanjar liye
jaate jaate ye batā jaatī hai raat
lamha lamha phailti jati hai raat
qatra qatra zahr Tapkati hai raat
muskura kar sath ho leta hai din
jab bhi tanha chhoD kar jati hai raat
teri qurbat ki mulaem dhup ko
sath bistar par bhi le aati hai raat
qabl is ke lauT kar aaun main ghar
jism se us ke lipaT jati hai raat
din khaDa hai hath mein KHanjar liye
jate jate ye bata jati hai raat
Source: Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 48) Author : Yousuf Taqi Publication : Yousuf Taqi (2003) Edition : 2003
Leave a comment