yahāñ se chāroñ taraf rāste nikalte haiñ
Thahar Thahar ke ham is ḳhvāb se nikalte haiñ
kisī kisī ko hai tahzīb-e-dasht-ārā.ī
ka.ī to ḳhaak uḌāte hue nikalte haiñ
yahāñ rivāj hai zinda jalā diye jaa.eñ
vo log jin ke gharoñ se diye nikalte haiñ
ajiib dasht hai dil bhī jahāñ se jaate hue
vo ḳhush haiñ jaise kisī baaġh se nikalte haiñ
ye log so rahe hoñge jabhī to aaj talak
zarūf-e-ḳhāk se ḳhvāboñ bhare nikalte haiñ
sitāre dekh ke ḳhush huuñ ki roz merī tarah
jo kho ga.e haiñ unheñ DhūñDne nikalte haiñ
yahan se chaaron taraf raste nikalte hain
Thahar Thahar ke hum is KHwab se nikalte hain
kisi kisi ko hai tahzib-e-dasht-arai
kai to KHak uDate hue nikalte hain
yahan riwaj hai zinda jala diye jaen
wo log jin ke gharon se diye nikalte hain
ajib dasht hai dil bhi jahan se jate hue
wo KHush hain jaise kisi bagh se nikalte hain
ye log so rahe honge jabhi to aaj talak
zaruf-e-KHak se KHwabon bhare nikalte hain
sitare dekh ke KHush hun ki roz meri tarah
jo kho gae hain unhen DhunDne nikalte hain
Leave a comment