Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Idris Babar

  • Ghazal


yunhi aati nahin hawa mujh mein


yūñhī aatī nahīñ havā mujh meñ
abhī raushan hai ik diyā mujh meñ

vo mujhe dekh kar ḳhamosh rahā
aur ik shor mach gayā mujh meñ

donoñ aadam ke muntaqim beTe
aur huā un kā sāmnā mujh meñ

maiñ madīne ko lauT aayā huuñ
ya.anī jaarī hai karbalā mujh meñ

raushnī aane vaale ḳhvāb kī hai
din to kab kā guzar chukā mujh meñ

is añdhere meñ jab koī bhī na thā
mujh se gum ho gayā ḳhudā mujh meñ

yunhi aati nahin hawa mujh mein
abhi raushan hai ek diya mujh mein

wo mujhe dekh kar KHamosh raha
aur ek shor mach gaya mujh mein

donon aadam ke muntaqim beTe
aur hua un ka samna mujh mein

main madine ko lauT aaya hun
yani jari hai karbala mujh mein

raushni aane wale KHwab ki hai
din to kab ka guzar chuka mujh mein

is andhere mein jab koi bhi na tha
mujh se gum ho gaya KHuda mujh mein


Leave a comment

+