dil meñ hai ittifāq se dasht bhī ghar ke saath saath
is meñ qayām bhī kareñ aap safar ke saath saath
dard kā dil kā shaam kā bazm kā mai kā jaam kā
rañg badal badal gayā ek nazar ke saath saath
ḳhvāb uḌā diye ga.e peḌ girā diye ga.e
donoñ bhulā diye ga.e ek ḳhabar ke saath saath
shāḳh se is kitāb tak ḳhaak se le ke ḳhvāb tak
jā.egā dil kahāñ talak us gul-e-tar ke saath saath
is ko ġhazal samajh ke hī sarsarī dekhiye sahī
ye mirā hāl-e-dil bhī hai arz-e-hunar ke saath saath
dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath
is mein qayam bhi karen aap safar ke sath sath
dard ka dil ka sham ka bazm ka mai ka jam ka
rang badal badal gaya ek nazar ke sath sath
KHwab uDa diye gae peD gira diye gae
donon bhula diye gae ek KHabar ke sath sath
shaKH se is kitab tak KHak se le ke KHwab tak
jaega dil kahan talak us gul-e-tar ke sath sath
is ko ghazal samajh ke hi sarsari dekhiye sahi
ye mera haal-e-dil bhi hai arz-e-hunar ke sath sath
Leave a comment