Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Idris Babar

  • Ghazal


dariya wo kahan raha hai jo tha


dariyā vo kahāñ rahā hai jo thā
ye shahr kā āḳhirī qissa-go thā

jo ḳhaak sī dil meñ uḌ rahī hai
yaañ koī ġhazāl ho na ho thā

ab se ye hamārā ghar nahīñ ḳhair
pahle bhī na thā ḳhayāl to thā

sābit nahīñ kar sakoge tum log
kyā merā vajūd thā chalo thā

donoñ ghaḌiyoñ par hijr kā vaqt
honā nahīñ chāhiye thā so thā

is ḳhvāb meñ kyā nahīñ dar-asl
bas kah to diyā nā ḳhvāb jo thā

dariya wo kahan raha hai jo tha
ye shahr ka aaKHiri qissa-go tha

jo KHak si dil mein uD rahi hai
yan koi ghazal ho na ho tha

ab se ye hamara ghar nahin KHair
pahle bhi na tha KHayal to tha

sabit nahin kar sakoge tum log
kya mera wajud tha chalo tha

donon ghaDiyon par hijr ka waqt
hona nahin chahiye tha so tha

is KHwab mein kya nahin dar-asl
bas kah to diya na KHwab jo tha


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 572) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+