Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibrat Machlishahri

  • Ghazal


hawadisat zaruri hain zindagi ke liye


havādisāt zarūrī haiñ zindagī ke liye
ki moḌ hote haiñ har raah har galī ke liye

na koī mere liye hai na maiñ kisī ke liye
bas ek lafz-e-nadāmat huuñ zindagī ke liye

vo titliyoñ kī tarah mujh se aur duur huā
baḌhāyā jis kī taraf haath dostī ke liye

ye uzv uzv mirā pyaas se sulagtā hai
mujhe lahū kī zarūrat hai tishnagī ke liye

ab is se baḌh ke mirā imtihān kyā hogā
maiñ zahr pī ke jiyā huuñ tirī ḳhushī ke liye

jo ho sake to ḳhud ashkoñ ko poñchh lo 'ibrat'
kisī ke paas kahāñ vaqt dil-dahī ke liye

hawadisat zaruri hain zindagi ke liye
ki moD hote hain har rah har gali ke liye

na koi mere liye hai na main kisi ke liye
bas ek lafz-e-nadamat hun zindagi ke liye

wo titliyon ki tarah mujh se aur dur hua
baDhaya jis ki taraf hath dosti ke liye

ye uzw uzw mera pyas se sulagta hai
mujhe lahu ki zarurat hai tishnagi ke liye

ab is se baDh ke mera imtihan kya hoga
main zahr pi ke jiya hun teri KHushi ke liye

jo ho sake to KHud ashkon ko ponchh lo 'ibrat'
kisi ke pas kahan waqt dil-dahi ke liye


Source: Book : Aansuwon Ki Barat (Pg. 60) Author : Ibrat Machhali Shahri Publication : News Town Publishers (2013) Edition : 2013

Leave a comment

+