uns to hotā hai dīvāne se dīvāne ko
koī apnā ke dikhā.e kabhī anjāne ko
ḳhud-kushī jaisā koī jurm nahīñ duniyā meñ
koī batlātā nahīñ jā ke ye parvāne ko
sāqī-e-vaqt ne jab chhīn lī hāthoñ se sharāb
maiñ ne Takrā diyā paimāne se paimāne ko
ḳhāk-zāda nahīñ paidā huā aisā koī
jo haqīqat meñ badal de mire afsāne ko
abrha jaisā agar ho gayā paidā koī
kyā bachā pā.eñge ham apne ḳhudā-ḳhāne ko
ek mufsid kī ye phailā.ī huī hai afvāh
rāt-bhar sham.a se nafrat rahī parvāne ko
uns to hota hai diwane se diwane ko
koi apna ke dikhae kabhi anjaane ko
KHud-kushi jaisa koi jurm nahin duniya mein
koi batlata nahin ja ke ye parwane ko
saqi-e-waqt ne jab chhin li hathon se sharab
main ne Takra diya paimane se paimane ko
KHak-zada nahin paida hua aisa koi
jo haqiqat mein badal de mere afsane ko
abrha jaisa agar ho gaya paida koi
kya bacha paenge hum apne KHuda-KHane ko
ek mufsid ki ye phailai hui hai afwah
raat-bhar shama se nafrat rahi parwane ko
Source: Book : Magz-e-Sukhan (Pg. 29) Author : Ibrat Bahraichi Publication : Dr. Ibrat Bahraichi (2017) Edition : 2017
Leave a comment