Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Taqi

  • Ghazal


dil mein jab kabhi teri yaad so gai hogi


dil meñ jab kabhī terī yaad so ga.ī hogī
chāñd bujh gayā hogā raat ro paḌī hogī

kyā ḳhabar ki aise meñ tum ne kyā kiyā hogā
mujh se tark-e-ulfat kī baat jab chalī hogī

be-qarār duniyā meñ tere lauT aane tak
jāgtī tamannā bhī thak ke so chukī hogī

kaun aise qissoñ kā iḳhtitām chāhegā
jin meñ terī zulfoñ kī baat aa ga.ī hogī

aap kyuuñ pareshāñ haiñ aap to nahīñ ro.e
aap kī nigāhoñ meñ merī bebasī hogī

dil mein jab kabhi teri yaad so gai hogi
chand bujh gaya hoga raat ro paDi hogi

kya KHabar ki aise mein tum ne kya kiya hoga
mujh se tark-e-ulfat ki baat jab chali hogi

be-qarar duniya mein tere lauT aane tak
jagti tamanna bhi thak ke so chuki hogi

kaun aise qisson ka iKHtitam chahega
jin mein teri zulfon ki baat aa gai hogi

aap kyun pareshan hain aap to nahin roe
aap ki nigahon mein meri bebasi hogi


Source: Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 33) Author : Yousuf Taqi Publication : Yousuf Taqi (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+