Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibrahim Ashk

  • Ghazal


labon par pyas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo


laboñ par pyaas ho to aas ke bādal bhare rakhiyo
sarāboñ ke safar meñ is tarah gulshan hare rakhiyo

ye bāzār-e-jahāñ hai be-ġharaz koī nahīñ miltā
parakh kar jab talak dekho nahīñ sab ko pare rakhiyo

vafā ke bol par be-mol bik jaatī hai ye duniyā
agar ho be-sar-o-sāmāñ to ye sikke khare rakhiyo

kisī ke sāmne dāman pasāre se milegā kyā
agar insān ho ḳhuddāriyoñ se ghar bhare rakhiyo

sharāboñ se bhare pyāle mujhe takne kī aadat hai
badan bhīgā rasīle hoñT nainā mad-bhare rakhiyo

na jaane kab kisī ke ḳhvāb se ye dil dhaḌak jaa.e
agar sone lago to haath siine par dhare rakhiyo

labon par pyas ho to aas ke baadal bhare rakhiyo
sarabon ke safar mein is tarah gulshan hare rakhiyo

ye bazar-e-jahan hai be-gharaz koi nahin milta
parakh kar jab talak dekho nahin sab ko pare rakhiyo

wafa ke bol par be-mol bik jati hai ye duniya
agar ho be-sar-o-saman to ye sikke khare rakhiyo

kisi ke samne daman pasare se milega kya
agar insan ho KHuddariyon se ghar bhare rakhiyo

sharabon se bhare pyale mujhe takne ki aadat hai
badan bhiga rasile honT naina mad-bhare rakhiyo

na jaane kab kisi ke KHwab se ye dil dhaDak jae
agar sone lago to hath sine par dhare rakhiyo


Leave a comment

+