raat bhar tanhā rahā din bhar akelā maiñ hī thā
shahr kī ābādiyoñ meñ apne jaisā maiñ hī thā
maiñ hī dariyā maiñ hī tūfāñ maiñ hī thā har mauj bhī
maiñ hī ḳhud ko pī gayā sadiyoñ se pyāsā maiñ hī thā
kis liye katrā ke jaatā hai musāfir dam to le
aaj sūkhā peḌ huuñ kal terā saayā maiñ hī thā
kitne jazboñ kī nirālī ḳhushbueñ thiiñ mere paas
koī un kā chāhne vaalā nahīñ thā maiñ hī thā
duur hī se chāhne vaale mile har moḌ par
fāsle saare miTāne ko taḌapnā maiñ hī thā
merī aahaT sunñe vaalā dil na thā duniyā ke paas
rāste meñ 'ashk' be-maqsad jo bhaTkā maiñ hī thā
raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha
shahr ki aabaadiyon mein apne jaisa main hi tha
main hi dariya main hi tufan main hi tha har mauj bhi
main hi KHud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha
kis liye katra ke jata hai musafir dam to le
aaj sukha peD hun kal tera saya main hi tha
kitne jazbon ki nirali KHushbuen thin mere pas
koi un ka chahne wala nahin tha main hi tha
dur hi se chahne wale mile har moD par
fasle sare miTane ko taDapna main hi tha
meri aahaT sunne wala dil na tha duniya ke pas
raste mein 'ashk' be-maqsad jo bhaTka main hi tha
Leave a comment