Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibraheem Hosh

  • Ghazal


main wo nahin ki zamane se be-amal jaun


maiñ vo nahīñ ki zamāne se be-amal jā.ūñ
mizāj pūchh ke dār-o-rasan kā Tal jā.ūñ

vo aur hoñge jo haiñ aaj qaid-e-be-samtī
vahī hai samt meñ jis samt ko nikal jā.ūñ

fareb khā ke junūñ aql ke khilaunoñ se
ḳhudā vo vaqt na laa.e ki maiñ bahal jā.ūñ

mirā vajūd hai momī kahīñ na ho aisā
kisī kī yaad kī garmī se maiñ pighal jā.ūñ

jo chāhtā hai ki pastī meñ girte girte bachūñ
nazar kā apnī asā de ki maiñ sambhal jā.ūñ

main wo nahin ki zamane se be-amal jaun
mizaj puchh ke dar-o-rasan ka Tal jaun

wo aur honge jo hain aaj qaid-e-be-samti
wahi hai samt mein jis samt ko nikal jaun

fareb kha ke junun aql ke khilaunon se
KHuda wo waqt na lae ki main bahal jaun

mera wajud hai momi kahin na ho aisa
kisi ki yaad ki garmi se main pighal jaun

jo chahta hai ki pasti mein girte girte bachun
nazar ka apni asa de ki main sambhal jaun


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+