ban ke hasrat samā gayā ik shaḳhs
mujh ko aañsū banā gayā ik shaḳhs
soch haale pe intizār likhā
aur raste dikhā gayā ik shaḳhs
mere jīvan kī Diary meñ likhā
bāb-e-qismat miTā gayā ik shaḳhs
karbalā meñ hai rozgār-e-alam
kaam kaisā lagā gayā ik shaḳhs
maiñ ne us se vafā kā zikr kyā
par burā kyuuñ manā gayā ik shaḳhs
kar ke jīvan se be-niyāz mujhe
jiine kā Dhab sikhā gayā ik shaḳhs
ban ke hasrat sama gaya ek shaKHs
mujh ko aansu bana gaya ek shaKHs
soch haale pe intizar likha
aur raste dikha gaya ek shaKHs
mere jiwan ki Diary mein likha
bab-e-qismat miTa gaya ek shaKHs
karbala mein hai rozgar-e-alam
kaam kaisa laga gaya ek shaKHs
main ne us se wafa ka zikr kya
par bura kyun mana gaya ek shaKHs
kar ke jiwan se be-niyaz mujhe
jine ka Dhab sikha gaya ek shaKHs
Leave a comment