nafrateñ na adāvateñ baaqī haiñ
gar raheñgī to ulfateñ baaqī
rah hī jaate haiñ sab fasāne yahāñ
haiñ jo baaqī mohabbateñ baaqī
TimTimātā diyā hai bujhne ko
rah ga.iiñ kuchh hī sā.ateñ baaqī
ḳhatm hoñgī na ye mulāqāteñ
yaar zinda to sohbateñ baaqī
jin pe nāzāñ the ye zamīn o falak
ab kahāñ haiñ vo sūrateñ baaqī
aaj bhī haiñ bahut se nā-bīnā
dekhī jin meñ basārteñ baaqī
ban ke ta.avīz kuchh gale meñ haiñ
bhūle qurāñ kī sūrateñ baaqī
hashr meñ aur lahad meñ jaanā hai
rah ga.iiñ do hī hijrateñ baaqī
auj to bandagī meñ muzmar hai
hech saarī haiñ rif.ateñ baaqī
nafraten na adawaten baqi hain
gar rahengi to ulfaten baqi
rah hi jate hain sab fasane yahan
hain jo baqi mohabbaten baqi
TimTimata diya hai bujhne ko
rah gain kuchh hi saaten baqi
KHatm hongi na ye mulaqaten
yar zinda to sohbaten baqi
jin pe nazan the ye zamin o falak
ab kahan hain wo suraten baqi
aaj bhi hain bahut se na-bina
dekhi jin mein basarten baqi
ban ke tawiz kuchh gale mein hain
bhule quran ki suraten baqi
hashr mein aur lahad mein jaana hai
rah gain do hi hijraten baqi
auj to bandagi mein muzmar hai
hech sari hain rifaten baqi
Leave a comment