Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hameed Jalandhari

  • Ghazal


sine mein raaz-e-ishq chhupaya na jaega


siine meñ rāz-e-ishq chhupāyā na jā.egā
ye aag vo hai jis ko dabāyā na jā.egā

sun lījiye ki hai abhī āġhāz-e-āshiqī
phir ham se apnā haal sunāyā na jā.egā

ab sulh-o-āshatī ke zamāne guzar ga.e
ab dostī kā haath baḌhāyā na jā.egā

ham aah tak bhī lā na sakeñge zabān par
vo ruuTh jā.eñge to manāyā na jā.egā

vo duur haiñ to dil ko hai ik iztirāb sā
vo ā.eñge to aap meñ aayā na jā.egā

sine mein raaz-e-ishq chhupaya na jaega
ye aag wo hai jis ko dabaya na jaega

sun lijiye ki hai abhi aaghaz-e-ashiqi
phir hum se apna haal sunaya na jaega

ab sulh-o-ashati ke zamane guzar gae
ab dosti ka hath baDhaya na jaega

hum aah tak bhi la na sakenge zaban par
wo ruTh jaenge to manaya na jaega

wo dur hain to dil ko hai ek iztirab sa
wo aaenge to aap mein aaya na jaega


Source: Book : Shaam e Sehra (Pg. 173)

Leave a comment

+