mirī āñkhoñ se haT kar kuchh nahīñ hai
tirī duniyā kā manzar kuchh nahīñ hai
koī neza koī sajda atā kar
abhī tak to mirā sar kuchh nahīñ hai
tire juġhrāfiya kī dastaras meñ
mirī bastī mirā ghar kuchh nahīñ hai
yahī do chaar raste haiñ yahāñ ke
yahāñ kho jaa.eñ to Dar kuchh nahīñ hai
ḳhalā.eñ haath ā.eñgī tumhāre
mirī chuTkī se bāhar kuchh nahīñ hai
meri aankhon se haT kar kuchh nahin hai
teri duniya ka manzar kuchh nahin hai
koi neza koi sajda ata kar
abhi tak to mera sar kuchh nahin hai
tere jughrafiya ki dastaras mein
meri basti mera ghar kuchh nahin hai
yahi do chaar raste hain yahan ke
yahan kho jaen to Dar kuchh nahin hai
KHalaen hath aaengi tumhaare
meri chuTki se bahar kuchh nahin hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment