Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hameed Almas

  • Ghazal


sarhad-e-gul se nikal kar hum juda ho jaenge


sarhad-e-gul se nikal kar ham judā ho jā.eñge
kal tumhārī qaid-e-ḳhushbū se rihā ho jā.eñge

zehn meñ ehsās-e-ruḳhsat hī na hogā shaam tak
baḌhte baḌhte din ke lamhe yuuñ havā ho jā.eñge

chhoḌ jaao dāman-e-imroz meñ bhī kuchh na kuchh
varna tum se tā.ir-e-fardā ḳhafā ho jā.eñge

jab na ho kār-e-nafas to phir hamāre saath saath
ye zamīn-o-āsmāñ donoñ fanā ho jā.eñge

sāmne hai sā.at-e-āḳhir kā an-dekhā azaab
umr-bhar kahte rahe ab be-navā ho jā.eñge

sarhad-e-gul se nikal kar hum juda ho jaenge
kal tumhaari qaid-e-KHushbu se riha ho jaenge

zehn mein ehsas-e-ruKHsat hi na hoga sham tak
baDhte baDhte din ke lamhe yun hawa ho jaenge

chhoD jao daman-e-imroz mein bhi kuchh na kuchh
warna tum se tair-e-farda KHafa ho jaenge

jab na ho kar-e-nafas to phir hamare sath sath
ye zamin-o-asman donon fana ho jaenge

samne hai saat-e-aKHir ka an-dekha azab
umr-bhar kahte rahe ab be-nawa ho jaenge


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+