Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


aks kya dida-e-tar mein dekha


aks kyā dīda-e-tar meñ dekhā
ham ne dariyā ko bhañvar meñ dekhā

sar-e-manzil koī manzil na milī
ik safar aur safar meñ dekhā

nazar aayā kabhī bāzār meñ ghar
kabhī rasta koī ghar meñ dekhā

suraḳh-rū jañg se lauT aayā thā
ḳhuuñ meñ lat-pat jise ghar meñ dekhā

jaane kab aa ke yahāñ baiThe the
apnā saayā bhī shajar meñ dekhā

ab bhī chipkā hai mirī āñkhoñ meñ
jo dhuāñ sham.a sahar meñ dekhā

aag kis des lagī hai ab ke
phir dhuāñ apne nagar meñ dekhā

ek hī jast meñ ham ne 'hamdam'
fāsla dasht se dar meñ dekhā

aks kya dida-e-tar mein dekha
hum ne dariya ko bhanwar mein dekha

sar-e-manzil koi manzil na mili
ek safar aur safar mein dekha

nazar aaya kabhi bazar mein ghar
kabhi rasta koi ghar mein dekha

suraKH-ru jang se lauT aaya tha
KHun mein lat-pat jise ghar mein dekha

jaane kab aa ke yahan baiThe the
apna saya bhi shajar mein dekha

ab bhi chipka hai meri aankhon mein
jo dhuan shama sahar mein dekha

aag kis des lagi hai ab ke
phir dhuan apne nagar mein dekha

ek hi jast mein hum ne 'hamdam'
fasla dasht se dar mein dekha


Source: Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 62) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Sayed Ameen Ashraf (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+