saarā badan hai ḳhuun se kyuuñ tar use dikhā
shah-rag kaTī hai jis se vo nashtar use dikhā
aa.egī kaise niiñd dikhā vo hunar use
phir is ke ba.ad ḳhvāb ko chhū kar use dikhā
āñkhoñ se apne ashk ke tāroñ ko toḌ kar
sūkhī nadī ke dard kā manzar use dikhā
dukh-sukh jo dhuup chhāñv kā ik khel hai to phir
sūraj ke saath bādaloñ ke par use dikhā
aa.e jo koī shīshe kā paikar liye hue
to apne dasht-e-shauq meñ patthar use dikhā
pūchhe jo zindagī kī haqīqat koī 'jamāl'
to chuTkiyoñ meñ ret uḌā kar use dikhā
sara badan hai KHun se kyun tar use dikha
shah-rag kaTi hai jis se wo nashtar use dikha
aaegi kaise nind dikha wo hunar use
phir is ke baad KHwab ko chhu kar use dikha
aankhon se apne ashk ke taron ko toD kar
sukhi nadi ke dard ka manzar use dikha
dukh-sukh jo dhup chhanw ka ek khel hai to phir
suraj ke sath baadalon ke par use dikha
aae jo koi shishe ka paikar liye hue
to apne dasht-e-shauq mein patthar use dikha
puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamal'
to chuTkiyon mein ret uDa kar use dikha
Leave a comment