Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


maslub aaftab sar-e-sham kyun hua


maslūb āftāb sar-e-shām kyuuñ huā
honā thā hādisa to lab-e-bām kyuuñ huā

jis par kisī jagah bhī mire dastaḳhat na the
mansūb mere naam vo paiġhām kyuuñ huā

vo kaun thā jo haath milā kar nikal gayā
barpā hisār-e-jism meñ kohrām kyuuñ huā

be-rāz rāste haiñ manāzir udaas haiñ
qistoñ meñ mere shahr kā nīlām kyuuñ huā

rutba milā na kyuuñ use apnoñ ke darmiyāñ
bāhar thā ḳhaas agar vo yahāñ aam kyuuñ huā

phūloñ kī vādiyoñ kī tarāvat milī unheñ
aur qahr-e-reg-zār mire naam kyuuñ huā

āñkhoñ pe mujh ko apnī bharosa nahīñ rahā
itnā ḳharāb ḳhvāb kā anjām kyuuñ huā

maslub aaftab sar-e-sham kyun hua
hona tha hadisa to lab-e-baam kyun hua

jis par kisi jagah bhi mere dastaKHat na the
mansub mere nam wo paigham kyun hua

wo kaun tha jo hath mila kar nikal gaya
barpa hisar-e-jism mein kohram kyun hua

be-raaz raste hain manazir udas hain
qiston mein mere shahr ka nilam kyun hua

rutba mila na kyun use apnon ke darmiyan
bahar tha KHas agar wo yahan aam kyun hua

phulon ki wadiyon ki tarawat mili unhen
aur qahr-e-reg-zar mere nam kyun hua

aankhon pe mujh ko apni bharosa nahin raha
itna KHarab KHwab ka anjam kyun hua


Source: Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 60) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Sayed Ameen Ashraf (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+