Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


ishq ke nam pe daim rahe zindan aabaad


ishq ke naam pe daa.im rahe zindāñ ābād
chāk-e-tāza se rahe merā garebāñ ābād

qais ke ba.ad kisī ne kabhī pūchhā hī nahīñ
ham ko hī karnā paḌā phir se bayābāñ ābād

taḳhtiyāñ laTkī huī naam kī darvāzoñ par
ham ne dekhe haiñ yahāñ kitne hī zindāñ ābād

ham ne rakkhī na kabhī apne gharoñdoñ pe nazar
ham ne dekhe haiñ sadā ḳhvāb ke aivāñ ābād

kahīñ īmān meñ ilhād milā hai shāmil
nazar aayā hai kahīñ kufr meñ īmāñ ābād

kabhī tūfān meñ qatra bhī nahīñ thā shāmil
aur dekhā hai kabhī qatre meñ tūfāñ ābād

ek duniyā hai yahāñ ek zamāna hai yahāñ
yūñhī har aan rahe ye mirā dīvāñ ābād

ishq ke nam pe daim rahe zindan aabaad
chaak-e-taza se rahe mera gareban aabaad

qais ke baad kisi ne kabhi puchha hi nahin
hum ko hi karna paDa phir se bayaban aabaad

taKHtiyan laTki hui nam ki darwazon par
hum ne dekhe hain yahan kitne hi zindan aabaad

hum ne rakkhi na kabhi apne gharondon pe nazar
hum ne dekhe hain sada KHwab ke aiwan aabaad

kahin iman mein ilhad mila hai shamil
nazar aaya hai kahin kufr mein iman aabaad

kabhi tufan mein qatra bhi nahin tha shamil
aur dekha hai kabhi qatre mein tufan aabaad

ek duniya hai yahan ek zamana hai yahan
yunhi har aan rahe ye mera diwan aabaad


Source: Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 76) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012) Edition : 2012 Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 76) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+