hai mashaqqat mirī in.aam kisī aur kā hai
kaam merā hai magar naam kisī aur kā hai
dhuup thī saath jo din bhar vo kisī aur kī thī
kyā dhuñdlakā bhī sar-e-shām kisī aur kā hai
sar pe rahtā hai hamesha hī kisī kā saayā
merī dīvār pe ye baam kisī aur kā hai
maiñ to ḳhud apne hī nashshe meñ huuñ sarshār bahut
haath meñ hai jo mire jaam kisī aur kā hai
jaane ye kaun dhaḌaktā hai mire siine meñ
mere hoñToñ pe ravāñ naam kisī aur kā hai
haif apne liye kuchh kar na sakā mar kar bhī
laash merī hai to kohrām kisī aur kā hai
merā har saañs bhī ḳhud merā nahīñ hai 'hamdam'
ye badan aur ye ehrām kisī aur kā hai
hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai
kaam mera hai magar nam kisi aur ka hai
dhup thi sath jo din bhar wo kisi aur ki thi
kya dhundlaka bhi sar-e-sham kisi aur ka hai
sar pe rahta hai hamesha hi kisi ka saya
meri diwar pe ye baam kisi aur ka hai
main to KHud apne hi nashshe mein hun sarshaar bahut
hath mein hai jo mere jam kisi aur ka hai
jaane ye kaun dhaDakta hai mere sine mein
mere honTon pe rawan nam kisi aur ka hai
haif apne liye kuchh kar na saka mar kar bhi
lash meri hai to kohram kisi aur ka hai
mera har sans bhi KHud mera nahin hai 'hamdam'
ye badan aur ye ehram kisi aur ka hai
Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 107) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012
Leave a comment