Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada


vahshat hai bahut kam to hai zanjīr ziyāda
chhoTā sā mirā ḳhvāb hai ta.abīr ziyāda

kyā jaan merī sirf sulagne ke liye hai
kiije na mire jism kī tafsīr ziyāda

kis moḌ pe dīvān ke maiñ ruk sā gayā huuñ
'ġhālib' se nazar aane lagā 'mīr' zyāda

kartā huuñ isī vāste tadbīr bahut kam
har kaam meñ kaam aatī hai ta.abīr ziyāda

kab tak ye mirā zo.am ye ehsās rahegā
duniyā meñ bahut ḳhuub hai kashmīr ziyāda

wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada
chhoTa sa mera KHwab hai tabir ziyaada

kya jaan meri sirf sulagne ke liye hai
kije na mere jism ki tafsir ziyaada

kis moD pe diwan ke main ruk sa gaya hun
'ghaalib' se nazar aane laga 'mir' zyaada

karta hun isi waste tadbir bahut kam
har kaam mein kaam aati hai tabir ziyaada

kab tak ye mera zoam ye ehsas rahega
duniya mein bahut KHub hai kashmir ziyaada


Source: Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 106) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+