aa gumāñ se guzar ke dekheñge
āsmāñ se utar ke dekheñge
Duub kar aa ubhar ke dekheñge
pech saare bhañvar ke dekheñge
ḳhatm ho raat kā tavīl safar
ziina ziina utar ke dekheñge
kis qadar hai amiiq sannāTā
apne andar utar ke dekheñge
kyā guzartī hai zindagī ke ba.ad
aao kuchh der mar ke dekheñge
paas baaqī takān hai kitnī
rāste meñ Thahar ke dekheñge
log sab ek hī qimāsh ke haiñ
kyā udhar kyā idhar ke dekheñge
aa guman se guzar ke dekhenge
aasman se utar ke dekhenge
Dub kar aa ubhar ke dekhenge
pech sare bhanwar ke dekhenge
KHatm ho raat ka tawil safar
zina zina utar ke dekhenge
kis qadar hai amiq sannaTa
apne andar utar ke dekhenge
kya guzarti hai zindagi ke baad
aao kuchh der mar ke dekhenge
pas baqi takan hai kitni
raste mein Thahar ke dekhenge
log sab ek hi qimash ke hain
kya udhar kya idhar ke dekhenge
Source: Book : Waraq-e-Saadah (Ghazals) (Pg. 104) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Nai Sadi Adabi Society, Varansi (2012) Edition : 2012
Leave a comment