Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haleem Sabir

  • Ghazal


main badalte hue haalat pe aksar roya


maiñ badalte hue hālāt pe aksar royā
dekh kar shahr kā badlā huā manzar royā

chup huā ro ke jo phir royā mukarrar royā
ro ke jab jī na bharā merā to jī bhar royā

jaise-taise mujhe ronā kabhī aayā hī nahīñ
jab bhī royā maiñ bahut soch samajh kar royā

munhasir thā mirā ronā bhī mirī marzī par
chand lamhe kabhī royā kabhī din bhar royā

mujh ko rone kā hunar aa gayā rote rote
rone vāloñ se ba-har-taur maiñ behtar royā

mere rone kā bhī andāz ajab thā 'sābir'
rote rote jo hañsī aa.ī to hañs kar royā

main badalte hue haalat pe aksar roya
dekh kar shahr ka badla hua manzar roya

chup hua ro ke jo phir roya mukarrar roya
ro ke jab ji na bhara mera to ji bhar roya

jaise-taise mujhe rona kabhi aaya hi nahin
jab bhi roya main bahut soch samajh kar roya

munhasir tha mera rona bhi meri marzi par
chand lamhe kabhi roya kabhi din bhar roya

mujh ko rone ka hunar aa gaya rote rote
rone walon se ba-har-taur main behtar roya

mere rone ka bhi andaz ajab tha 'sabir'
rote rote jo hansi aai to hans kar roya


Source:

Leave a comment

+