Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Syed Mohammad Ghazipuri

  • Ghazal


bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul


bulbul ko phir chaman meñ lagā laa.ī bū-e-gul
ai kaash hotī gul-badanoñ meñ bhī ḳhū-e-gul

dil daaġh daaġh us meñ ḳhayāl-e-ḳhirām-e-nāz
jis tarah uḌtī phirtī ho gulshan meñ bū-e-gul

āshiq hī jab nahīñ to ḳhizāñ hai bahār-e-husn
bulbul ke saath saath ga.ī ābrū-e-gul

rāz-e-mohabbat aur dil-e-ġhuncha tā-ba-kai
niklegī bū ke parde meñ har ārzū-e-gul

lo 'shād' sair-e-gul se bhī nafrat huī unheñ
samjhe magar ki bū-e-mohabbat hai bū-e-gul

bulbul ko phir chaman mein laga lai bu-e-gul
ai kash hoti gul-badanon mein bhi KHu-e-gul

dil dagh dagh us mein KHayal-e-KHiram-e-naz
jis tarah uDti phirti ho gulshan mein bu-e-gul

aashiq hi jab nahin to KHizan hai bahaar-e-husn
bulbul ke sath sath gai aabru-e-gul

raaz-e-mohabbat aur dil-e-ghuncha ta-ba-kai
niklegi bu ke parde mein har aarzu-e-gul

lo 'shad' sair-e-gul se bhi nafrat hui unhen
samjhe magar ki bu-e-mohabbat hai bu-e-gul


Source: Book : Noquush (Pg. B406 E416) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+