mere sāmne mere ghar kā puurā naqsha bikhrā hai
kaash koī aisā hotā jo dekhe kyā kyā bikhrā hai
maiñ ne chāhā biite barsoñ ko bhī muTThī meñ bhar luuñ
is koshish meñ mere aaj kā lamha lamha bikhrā hai
pahle us ke saa.e ke rasiyā log the ab ye kahte haiñ
ye bhī koī peḌ hai jis kā pattā pattā bikhrā hai
shāyad aise hī be-manzil rahnā apnī qismat hai
ham kis raste ko apnā.eñ har ik rasta bikhrā hai
is kī kyā ta.abīr karūñ maiñ kuchh tū hī samjhā 'manzūr'
maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā sahrā meñ ik dariyā bikhrā hai
mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai
kash koi aisa hota jo dekhe kya kya bikhra hai
main ne chaha bite barson ko bhi muTThi mein bhar lun
is koshish mein mere aaj ka lamha lamha bikhra hai
pahle us ke sae ke rasiya log the ab ye kahte hain
ye bhi koi peD hai jis ka patta patta bikhra hai
shayad aise hi be-manzil rahna apni qismat hai
hum kis raste ko apnaen har ek rasta bikhra hai
is ki kya tabir karun main kuchh tu hi samjha 'manzur'
main ne KHwab mein dekha sahra mein ek dariya bikhra hai
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment