Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Manzoor

  • Ghazal


muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai


muntashir sāyoñ kā hai yā aks-e-be-paikar kā hai
muntazir ye ā.īna kyā jaane kis manzar kā hai

reza reza raat bhar jo ḳhauf se hotā rahā
din ko sāñsoñ par abhī tak bojh us patthar kā hai

vo kisī farhañg kā qaidī na ab tak ho sakā
vo shikasta lafz merī ruuh ke andar kā hai

har koī hone lagā hai din ko ḳhvāboñ kā asiir
ḳhauf har ik aañkh meñ ik duur ke manzar kā hai

dekh kar bhī kyā kare 'manzūr' us kā karb hai
vo to juz āñkhoñ ke sar se paañv tak marmar kā hai

muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai
muntazir ye aaina kya jaane kis manzar ka hai

reza reza raat bhar jo KHauf se hota raha
din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai

wo kisi farhang ka qaidi na ab tak ho saka
wo shikasta lafz meri ruh ke andar ka hai

har koi hone laga hai din ko KHwabon ka asir
KHauf har ek aankh mein ek dur ke manzar ka hai

dekh kar bhi kya kare 'manzur' us ka karb hai
wo to juz aankhon ke sar se panw tak marmar ka hai


Source: Book : Natamam (Pg. 66) Author : Hakeem Manzoor Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977) Edition : 1977

Leave a comment

+