Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Manzoor

  • Ghazal


aage pichhe us ka apna saya lahraata raha


aage pīchhe us kā apnā saaya lahrātā rahā
ḳhauf se us shaḳhs kā chehra sadā piilā rahā

sub.h ko dekhā to vo mujh se thā bilkul ajnabī
raat bhar jo jism ke andar mujhe taktā rahā

kaisā dīvāna thā sab kuchh jaan kar anjān thā
har kisī se vo gale miltā rahā rotā rahā

ye ḳhatā merī thī tujh ko maiñ ne pahchānā nahīñ
ā.īne meñ jaane mujh ko kyā nazar aatā rahā

ḳhud-numā.ī ke liye tarkīb thī achchhī bahut
log sab ḳhāmosh the vo kuchh na kuchh kahtā rahā

ham ne dīvāroñ pe us ko kar diyā chaspāñ magar
apne ghar meñ vo baḌe ārām se soyā rahā

sab barhana-tan hue 'manzūr' jab mahfil kī jaañ
apne ghar meñ chhup ke ḳhāmoshī se maiñ baiThā rahā

aage pichhe us ka apna saya lahraata raha
KHauf se us shaKHs ka chehra sada pila raha

subh ko dekha to wo mujh se tha bilkul ajnabi
raat bhar jo jism ke andar mujhe takta raha

kaisa diwana tha sab kuchh jaan kar anjaan tha
har kisi se wo gale milta raha rota raha

ye KHata meri thi tujh ko main ne pahchana nahin
aaine mein jaane mujh ko kya nazar aata raha

KHud-numai ke liye tarkib thi achchhi bahut
log sab KHamosh the wo kuchh na kuchh kahta raha

hum ne diwaron pe us ko kar diya chaspan magar
apne ghar mein wo baDe aaram se soya raha

sab barhana-tan hue 'manzur' jab mahfil ki jaan
apne ghar mein chhup ke KHamoshi se main baiTha raha


Source: Book : Natamam (Pg. 41) Author : Hakeem Manzoor Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977) Edition : 1977

Leave a comment

+