ek vahdat thī aap hī bikhrī
jaane kis ġham meñ raushnī bikhrī
ab sameToge kis tarah us ko
lafz-dar-lafz ḳhāmushī bikhrī
ā.ina-ḳhāna-e-taḳhayyul meñ
ek lamhe meñ ik sadī bikhrī
qaid thī ruuh kī ḳhamoshī meñ
jism meñ Dhal ke zindagī bikhrī
karb-e-iz.hār se na guzrī baat
lab pe aane se pahle hī bikhrī
ek wahdat thi aap hi bikhri
jaane kis gham mein raushni bikhri
ab sameToge kis tarah us ko
lafz-dar-lafz KHamushi bikhri
aaina-KHana-e-taKHayyul mein
ek lamhe mein ek sadi bikhri
qaid thi ruh ki KHamoshi mein
jism mein Dhal ke zindagi bikhri
karb-e-izhaar se na guzri baat
lab pe aane se pahle hi bikhri
Source: Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 110) Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972) Edition : 1972
Leave a comment