Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


KHun-e-dil yan waqf-e-mizhgan hi raha


ḳhūn-e-dil yaañ vaqf-e-mizhgāñ hī rahā
ġham tirā dast-o-garebāñ hī rahā

qatl ho kar bhī dil-e-shaidā mirā
tishna-kām-e-āb-e-paikāñ hī rahā

kaam bhī yaañ ho chukā vaañ chāra-gar
darpai tadbīr-e-darmāñ hī rahā

kāvish-e-dast-e-junūñ ko nit yahāñ
shaġhl-e-chāk-e-jeb-o-dāmāñ hī rahā

va.ade ġhairoñ se vafā hote rahe
ek ham se ahd-o-paimāñ hī rahā

yaad meñ us chashm-e-fattāñ kī sadā
dil charāgāh-e-ġhazālāñ hī rahā

chiyūñTiyoñ ko bhī sunā ai 'aish' yaañ
da.avā-e-mulk-e-sulaimāñ hī rahā

KHun-e-dil yan waqf-e-mizhgan hi raha
gham tera dast-o-gareban hi raha

qatl ho kar bhi dil-e-shaida mera
tishna-kaam-e-ab-e-paikan hi raha

kaam bhi yan ho chuka wan chaara-gar
darpai tadbir-e-darman hi raha

kawish-e-dast-e-junun ko nit yahan
shaghl-e-chaak-e-jeb-o-daman hi raha

wade ghairon se wafa hote rahe
ek hum se ahd-o-paiman hi raha

yaad mein us chashm-e-fattan ki sada
dil charagah-e-ghazalan hi raha

chiyunTiyon ko bhi suna ai 'aish' yan
dawa-e-mulk-e-sulaiman hi raha


Leave a comment

+