Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zainab Begum Ibrat

  • Ghazal


lutf aata hai unhen har zulm-e-nau-ijad mein


lutf aatā hai unheñ har zulm-e-nau-ījād meñ
chain aatā hai mujhe dard-e-dil-e-nāshād meñ

dil ko dekhūñ yā jigar ko yā ġham-o-andoh ko
sāz-e-hastī jal rahā hai ab kisī kī yaad meñ

jaan muztar dil mukaddar qalb mahzūñ chashm nam
haa.e kyā kyā ban ga.ī ham par kisī kī yaad meñ

lutf aata hai unhen har zulm-e-nau-ijad mein
chain aata hai mujhe dard-e-dil-e-nashad mein

dil ko dekhun ya jigar ko ya gham-o-andoh ko
saz-e-hasti jal raha hai ab kisi ki yaad mein

jaan muztar dil mukaddar qalb mahzun chashm nam
hae kya kya ban gai hum par kisi ki yaad mein


Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 191) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+