Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


yun baat kisi ki hum kab yar uThate hain


yuuñ baat kisī kī ham kab yaar uThāte haiñ
dil tum ko diyā is se lāchār uThāte haiñ

ham matlab-e-dil chāheñ gardūñ se ye kyā mumkin
āzād-manash us ke kab aar uThāte haiñ

bahkāne se ġhairoñ ke kyā kiije ilaaj is kā
har baat meñ vo mujh se takrār uThāte haiñ

muñh kyā hai falak terā koh-e-ġham-e-hijrāñ kā
ye hazrat-e-dil hī haiñ jo baar uThāte haiñ

ham tufta-jigar zālim hai kuchh bhī ḳhabar tujh ko
ulfat meñ tirī kyā kyā āzār uThāte haiñ

ik jumbish-e-abrū hī ushshāq ko kaafī hai
kyuuñ qatl ko vo un ke talvār uThāte haiñ

kuchh 'aish' sunā tū ne us bazm meñ āshiq par
tūfān na.e kyā kyā aġhyār uThāte haiñ

yun baat kisi ki hum kab yar uThate hain
dil tum ko diya is se lachaar uThate hain

hum matlab-e-dil chahen gardun se ye kya mumkin
aazad-manash us ke kab aar uThate hain

bahkane se ghairon ke kya kije ilaj is ka
har baat mein wo mujh se takrar uThate hain

munh kya hai falak tera koh-e-gham-e-hijran ka
ye hazrat-e-dil hi hain jo bar uThate hain

hum tufta-jigar zalim hai kuchh bhi KHabar tujh ko
ulfat mein teri kya kya aazar uThate hain

ek jumbish-e-abru hi ushshaq ko kafi hai
kyun qatl ko wo un ke talwar uThate hain

kuchh 'aish' suna tu ne us bazm mein aashiq par
tufan nae kya kya aghyar uThate hain


Leave a comment

+