Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu


rachī dimāġh meñ ho jis ke us badan kī bū
ḳhush aave kab use nasrīn-o-nastaran kī bū

vo jis ne sūñghī ho ik daf.a us ke tan kī bū
na itr kī use bhāve na yāsman kī bū

hazār jaan se mushk-e-ḳhutan ho halqa-ba-gosh
jo sūñgh le kabhī us zulf-e-pur-shikan kī bū

basā ho dil meñ bhalā jis ke vo gul-e-ḳhūbī
pasand aa.e use kis tarah chaman kī bū

mashām-e-jāñ huī yāqūb kī vahīñ taaza
jo pahuñchī misr se yūsuf ke pairahan kī bū

kahāñ hai seb meñ seb-e-zaqan kī sī bū-bās
jahāñ meñ rūh-fazā hai to hai zaqan kī bū

mashām-e-jāñ ko tar-o-tāza 'aish' kartī hai
jahāñ ke baaġh meñ guldasta-e-suḳhan kī bū

rachi dimagh mein ho jis ke us badan ki bu
KHush aawe kab use nasrin-o-nastaran ki bu

wo jis ne sunghi ho ek dafa us ke tan ki bu
na itr ki use bhawe na yasman ki bu

hazar jaan se mushk-e-KHutan ho halqa-ba-gosh
jo sungh le kabhi us zulf-e-pur-shikan ki bu

basa ho dil mein bhala jis ke wo gul-e-KHubi
pasand aae use kis tarah chaman ki bu

masham-e-jaan hui yaqub ki wahin taza
jo pahunchi misr se yusuf ke pairahan ki bu

kahan hai seb mein seb-e-zaqan ki si bu-bas
jahan mein ruh-faza hai to hai zaqan ki bu

masham-e-jaan ko tar-o-taza 'aish' karti hai
jahan ke bagh mein guldasta-e-suKHan ki bu


Leave a comment

+