sivā ḳhudā ke nahīñ koī dast-gīr apnā
vahī muiin hai aur hai vahī nasīr apnā
usī ke naam se paatā hai kām-e-jāñ lazzat
usī kā ism mubārak hai dil-pazīr apnā
vo aap jaisā shahanshāh hai karīm-o-rahīm
kiyā hai chhāñT ke vaisā hī bas vazīr apnā
usī kā ism mubārak mohammad-e-arabī
vahī shafī.a hai bas roz-e-dār-o-gīr apnā
janāb-e-shāh-e-ġhulām-alī valī-allāh
ḳhudā ke fazl-o-karam se hai 'aish' piir apnā
siwa KHuda ke nahin koi dast-gir apna
wahi muin hai aur hai wahi nasir apna
usi ke nam se pata hai kaam-e-jaan lazzat
usi ka ism mubarak hai dil-pazir apna
wo aap jaisa shahanshah hai karim-o-rahim
kiya hai chhanT ke waisa hi bas wazir apna
usi ka ism mubarak mohammad-e-arabi
wahi shafia hai bas roz-e-dar-o-gir apna
janab-e-shah-e-ghulam-ali wali-allah
KHuda ke fazl-o-karam se hai 'aish' pir apna
Leave a comment