Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


tum siwa hum kahen to kis se kahen


tum sivā ham kaheñ to kis se kaheñ
qissa-e-ġham kaheñ to kis se kaheñ

ġham-e-furqat se jaan meñ baaqī
nahīñ hai dam kaheñ to kis se kahīñ

dekh kar us parī ko hosh-o-havās
kar ga.e ram kaheñ to kis se kaheñ

sun pareshāniyoñ ko zulf tirī
huī barham kaheñ to kis se kaheñ

'aish' jab dard-e-dil se apne koī
nahīñ mahram kaheñ to kis se kaheñ

tum siwa hum kahen to kis se kahen
qissa-e-gham kahen to kis se kahen

gham-e-furqat se jaan mein baqi
nahin hai dam kahen to kis se kahin

dekh kar us pari ko hosh-o-hawas
kar gae ram kahen to kis se kahen

sun pareshaniyon ko zulf teri
hui barham kahen to kis se kahen

'aish' jab dard-e-dil se apne koi
nahin mahram kahen to kis se kahen


Leave a comment

+