Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


ishq mein hua un ke dushman ek jahan apna


ishq meñ huā un ke dushman ik jahāñ apnā
dard-e-dil kareñ kis se jā kar ab bayāñ apnā

rakhte haiñ zabāñ lekin baat kar nahīñ sakte
haal bazm meñ us kī ab hai sham.a saañ apnā

haif to ye aatā hai chal diye dam-e-bismil
ye bhī to na samjhe vo hai ye nīm-jāñ apnā

dekheñ ham nahīñ hotā kis tarah asar un ko
gosh-zad ho gar un ke nāla-o-fuġhāñ apnā

thī yahī ḳhushī un kī is liye sunā ham ne
jān-o-dil kiyā kaise vaqf-e-imtihāñ apnā

mahvashoñ ke bin dekhe dil hai apnā sad-pāra
chaak kyā dikhāvegā aa ke yaañ katāñ apnā

kaam kyā hai nāseh ko kyuuñ vo aayā samjhāne
de diyā jise chāhā dil thā haañ jī haañ apnā

rashk-e-bāġh-e-jannat hai vo galī jahāñ ke ham
yaar rahne vaale haiñ dil lage kahāñ apnā

ek dam meñ deñge ham bas dhueñ bikher us ke
ho gayā to hone do dushman āsmāñ apnā

bhuul jaa.e sab sīmāb be-qarāriyāñ apnī
dekhe ḳhvāb meñ bhī gar ye dil-e-tapāñ apnā

'aish' us jafā-jū se kahiye ai sitam-pesha
tā-kujā koī rakkhe dard-e-dil nihāñ apnā

ishq mein hua un ke dushman ek jahan apna
dard-e-dil karen kis se ja kar ab bayan apna

rakhte hain zaban lekin baat kar nahin sakte
haal bazm mein us ki ab hai shama san apna

haif to ye aata hai chal diye dam-e-bismil
ye bhi to na samjhe wo hai ye nim-jaan apna

dekhen hum nahin hota kis tarah asar un ko
gosh-zad ho gar un ke nala-o-fughan apna

thi yahi KHushi un ki is liye suna hum ne
jaan-o-dil kiya kaise waqf-e-imtihan apna

mahwashon ke bin dekhe dil hai apna sad-para
chaak kya dikhawega aa ke yan katan apna

kaam kya hai naseh ko kyun wo aaya samjhane
de diya jise chaha dil tha han ji han apna

rashk-e-bagh-e-jannat hai wo gali jahan ke hum
yar rahne wale hain dil lage kahan apna

ek dam mein denge hum bas dhuen bikher us ke
ho gaya to hone do dushman aasman apna

bhul jae sab simab be-qarariyan apni
dekhe KHwab mein bhi gar ye dil-e-tapan apna

'aish' us jafa-ju se kahiye ai sitam-pesha
ta-kuja koi rakkhe dard-e-dil nihan apna


Leave a comment

+