Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


hayat apni sanwarun khuli kitab karun


hayāt apnī sañvārūñ khulī kitāb karūñ
irāda ye hai tujhe sāhab-e-nisāb karūñ

tamām umr isī aarzū meñ guzrī hai
tire mizāj ko parkhūñ koī ḳhitāb karūñ

rahūñ zamīñ par azā.em haiñ āsmānoñ ke
maiñ chāhtī huuñ charāġhoñ ko māhtāb karūñ

tū apne aap ko ā.īna sā banā pahle
vagarna kaise bhalā ḳhud ko be-hijāb karūñ

alag ye baat ki 'zaryāb' huuñ savāloñ meñ
agar maiñ zid pe utar jā.ūñ lā-javāb karūñ

hayat apni sanwarun khuli kitab karun
irada ye hai tujhe sahab-e-nisab karun

tamam umr isi aarzu mein guzri hai
tere mizaj ko parkhun koi KHitab karun

rahun zamin par azaem hain aasmanon ke
main chahti hun charaghon ko mahtab karun

tu apne aap ko aaina sa bana pahle
wagarna kaise bhala KHud ko be-hijab karun

alag ye baat ki 'zaryab' hun sawalon mein
agar main zid pe utar jaun la-jawab karun


Leave a comment

+