dil mirā muztar bahut paiham rahā
zindagī meñ jab musalsal ġham rahā
mehrbāñ thā kuchh tasavvur is tarah
hijr meñ bhī vasl kā aalam rahā
manzileñ us kā muqaddar ban ga.iiñ
azm jis insān kā mohkam rahā
kis taraf le aa.ī hai ye zindagī
vaqt ham par mehrbāñ kam-kam rahā
phir kisī ke talḳh lahje ke sabab
ye charāġh-e-ārzū maddham rahā
qahqahoñ ke saath aañsū the ravāñ
raat vahshat meñ ajab aalam rahā
jab bhī dekhā aa.ina 'zaryāb' ne
aks maazī kā bahut maddham rahā
dil mera muztar bahut paiham raha
zindagi mein jab musalsal gham raha
mehrban tha kuchh tasawwur is tarah
hijr mein bhi wasl ka aalam raha
manzilen us ka muqaddar ban gain
azm jis insan ka mohkam raha
kis taraf le aai hai ye zindagi
waqt hum par mehrban kam-kam raha
phir kisi ke talKH lahje ke sabab
ye charagh-e-arzu maddham raha
qahqahon ke sath aansu the rawan
raat wahshat mein ajab aalam raha
jab bhi dekha aaina 'zaryab' ne
aks mazi ka bahut maddham raha
Leave a comment