Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


teri chahat ki aadi ho gai hun


tirī chāhat kī aadī ho ga.ī huuñ
hathelī tū maiñ mehñdī ho ga.ī huuñ

kisī ke vāste taaza ġhazal huuñ
tirī ḳhātir kahānī ho ga.ī huuñ

duāoñ meñ mujhe vo māñgtā hai
idhar maiñ bhī namāzī ho ga.ī huuñ

mujhe qismat pe apnī hai bharosa
milā jo us pe raazī ho ga.ī huuñ

sunā jo zauq paḌhne kā hai us ko
maiñ sar-tā-pā kitābī ho ga.ī huuñ

mire dariyā huī jab zam maiñ tujh meñ
samundar se bhī gahrī ho ga.ī huuñ

sitāroñ se kiyā jab istifāda
usī din se shahābī ho ga.ī huuñ

tirī nazroñ ne dekhā mujh ko jis dam
hayā se maiñ gulābī ho ga.ī huuñ

bichhaḌ kar tujh se ai 'zaryāb' ab to
maiñ har jazbe se aarī ho ga.ī huuñ

teri chahat ki aadi ho gai hun
hatheli tu main mehndi ho gai hun

kisi ke waste taza ghazal hun
teri KHatir kahani ho gai hun

duaon mein mujhe wo mangta hai
idhar main bhi namazi ho gai hun

mujhe qismat pe apni hai bharosa
mila jo us pe raazi ho gai hun

suna jo zauq paDhne ka hai us ko
main sar-ta-pa kitabi ho gai hun

mere dariya hui jab zam main tujh mein
samundar se bhi gahri ho gai hun

sitaron se kiya jab istifada
usi din se shahabi ho gai hun

teri nazron ne dekha mujh ko jis dam
haya se main gulabi ho gai hun

bichhaD kar tujh se ai 'zaryab' ab to
main har jazbe se aari ho gai hun


Leave a comment

+