Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hajra Noor Zaryab

  • Ghazal


yarab diya hai husn to ye bhi kamal de


yārab diyā hai husn to ye bhī kamāl de
maiñ hañs paḌūñ to phuul bhī ḳhushbū uchhāl de

andāz merī pyaas kā jānegā koī kyā
chāhūñ to ik pahāḌ bhī chashma nikāl de

hastī to nīstī meñ badal jā.egī magar
īmān mujh ko mere ḳhudā lā-zavāl de

shāyad vo mere fan ko samajhne lagā hai ab
varna vo aisā kab thā ki aañsū nikāl de

kaisā ajiib dost hai jab bhī milūñ use
mere hī sāmne mujhe merī misāl de

maiñ māñgtī huuñ tujh se duā ai mire ḳhudā
jab bhī qalam uThā.ūñ anokhā ḳhayāl de

'zaryāb' to bashar hai magar bas karam kī baat
rag rag meñ tū hī thoḌā sā jāh-o-jalāl de

yarab diya hai husn to ye bhi kamal de
main hans paDun to phul bhi KHushbu uchhaal de

andaz meri pyas ka jaanega koi kya
chahun to ek pahaD bhi chashma nikal de

hasti to nisti mein badal jaegi magar
iman mujh ko mere KHuda la-zawal de

shayad wo mere fan ko samajhne laga hai ab
warna wo aisa kab tha ki aansu nikal de

kaisa ajib dost hai jab bhi milun use
mere hi samne mujhe meri misal de

main mangti hun tujh se dua ai mere KHuda
jab bhi qalam uThaun anokha KHayal de

'zaryab' to bashar hai magar bas karam ki baat
rag rag mein tu hi thoDa sa jah-o-jalal de


Leave a comment

+