Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat shimlavii

  • Ghazal


utar kar dil mein dil par bar kyon hai


utar kar dil meñ dil par baar kyoñ hai
mohabbat jaan kā āzār kyoñ hai

ravā ho yā duā be-kār kyoñ hai
yahāñ itnā koī nā-chār kyoñ hai

yahāñ dāmān-e-shauq-o-ārzū meñ
gul-e-tar kyoñ nahīñ hai ḳhaar kyoñ hai

ilāj-e-dard-e-dil hote hue bhī
digar-gūñ hālat-e-bīmār kyoñ hai

ye dil meñ dard ye āñkhoñ meñ aañsū
ye lab par āh-e-ātish-bār kyoñ hai

kisī ke naam se mansūb ho kar
koī rusvā mah-e-bāzār kyoñ hai

zabāñ bhī jab nahīñ muñh meñ kisī ke
kisī ke haath meñ talvār kyoñ hai

ḳhatā koī nahīñ lekin ḳhatā kā
kisī ke sāmne iqrār kyoñ hai

kisī kī sarfaroshī se kisī ko
nahīñ mālūm ye inkār kyoñ hai

kisī ko is qadar is be-ruḳhī par
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-dildār kyoñ hai

kisī ke zulm-hā-e-nā-ravā kī
jo pahle thī vahī raftār kyoñ hai

chalo jaane bhī do is guftugū ko
isī ik baat kī takrār kyoñ hai

nahīñ suntā agar koī kisī kī
kisī ko is qadar isrār kyoñ hai

bharosā hai agar apne pe 'hairat'
to phir ye minnat-e-aġhyār kyoñ hai

utar kar dil mein dil par bar kyon hai
mohabbat jaan ka aazar kyon hai

rawa ho ya dua be-kar kyon hai
yahan itna koi na-chaar kyon hai

yahan daman-e-shauq-o-arzu mein
gul-e-tar kyon nahin hai KHar kyon hai

ilaj-e-dard-e-dil hote hue bhi
digar-gun haalat-e-bimar kyon hai

ye dil mein dard ye aankhon mein aansu
ye lab par aah-e-atish-bar kyon hai

kisi ke nam se mansub ho kar
koi ruswa mah-e-bazar kyon hai

zaban bhi jab nahin munh mein kisi ke
kisi ke hath mein talwar kyon hai

KHata koi nahin lekin KHata ka
kisi ke samne iqrar kyon hai

kisi ki sarfaroshi se kisi ko
nahin malum ye inkar kyon hai

kisi ko is qadar is be-ruKHi par
KHayal-e-KHatir-e-dildar kyon hai

kisi ke zulm-ha-e-na-rawa ki
jo pahle thi wahi raftar kyon hai

chalo jaane bhi do is guftugu ko
isi ek baat ki takrar kyon hai

nahin sunta agar koi kisi ki
kisi ko is qadar israr kyon hai

bharosa hai agar apne pe 'hairat'
to phir ye minnat-e-aghyar kyon hai


Source:

Leave a comment

+