Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Gondvi

  • Ghazal


mohabbat mein inkar kitna hasin hai


mohabbat meñ inkār kitnā hasīñ hai
ye andāz-e-iqrār kitnā hasīñ hai

kisī kī mohabbat meñ nam ho gayā hai
tirā aaj ruḳhsār kitnā hasīñ hai

ye maanā ki sapnā hai sansār lekin
ye sapnoñ kā sansār kitnā hasīñ hai

diye haiñ jo tum ne nadāmat ke aañsū
tumhārā gunahgār kitnā hasīñ hai

guloñ se nahīñ shāḳh ke dil se pūchho
ki ye bad-numā ḳhaar kitnā hasīñ hai

zarā ā.īna dekh o husn vaale
batā de mirā pyaar kitnā hasīñ hai

huā thā jo 'hairat' judā sab se pahle
girebāñ kā vo taar kitnā hasīñ hai

mohabbat mein inkar kitna hasin hai
ye andaz-e-iqrar kitna hasin hai

kisi ki mohabbat mein nam ho gaya hai
tera aaj ruKHsar kitna hasin hai

ye mana ki sapna hai sansar lekin
ye sapnon ka sansar kitna hasin hai

diye hain jo tum ne nadamat ke aansu
tumhaara gunahgar kitna hasin hai

gulon se nahin shaKH ke dil se puchho
ki ye bad-numa KHar kitna hasin hai

zara aaina dekh o husn wale
bata de mera pyar kitna hasin hai

hua tha jo 'hairat' juda sab se pahle
gireban ka wo tar kitna hasin hai


Source: Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 30) Author : devendra issar Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963) Edition : 1963

Leave a comment

+