Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Farrukhabadi

  • Ghazal


waqt-e-shab gum hua saya to mujhe yaad aaya


vaqt-e-shab gum huā saaya to mujhe yaad aayā
ho gayā apnā parāyā to mujhe yaad aayā

merī barbādī meñ thā haath koī poshīda
us ne jab haath milāyā to mujhe yaad aayā

talḳhī-e-daurāñ nahīñ badlegī ye talḳhī-e-mai
jaam jab sāmne aayā to mujhe yaad aayā

ret hī ret nazar aatī thī tā-hadd-e-nazar
ab ke sailāb jo aayā to mujhe yaad aayā

TuuTe ghar meñ vo thakā haarā kabūtar sar-e-shām
ghoñsla DhūñDne aayā to mujhe yaad aayā

zindagī sirf kaḌī dhuup safar lambā hai
kahīñ saaya nazar aayā to mujhe yaad aayā

is añdhere meñ kahīñ hogā ujālā kuchh to
maiñ ne dil apnā jalāyā to mujhe yaad aayā

merā ehsās abhī murda nahīñ hai shāyad
us ne jab mujh ko rulāyā to mujhe yaad aayā

sirf matlab ke ġharaz ke haiñ yahāñ sab rishte
us ne ehsān jatāyā to mujhe yaad aayā

ek vīrānī hai sannāTā hai aur kuchh bhī nahīñ
shahr meñ apne jab aayā to mujhe yaad aayā

be-yaqīnī mire ehsās kā sarmāya hai
vo mire sāmne aayā to mujhe yaad aayā

zindagī ahd-e-guzishta kī purānī taqsīr
daur-e-hāzir ne satāyā to mujhe yaad aayā

be-sabātī hī haqīqat hai jahāñ meñ yaaro
dil kā bhī zaḳhm bhar aayā to mujhe yaad aayā

dil se kuchh us kā ta.alluq nahīñ rasman mujh ko
duur tak chhoḌne aayā to mujhe yaad aayā

kaT ga.ī umr bhaTakte hī bhaTakte 'hairat'
rāsta jab nazar aayā to mujhe yaad aayā

waqt-e-shab gum hua saya to mujhe yaad aaya
ho gaya apna paraya to mujhe yaad aaya

meri barbaadi mein tha hath koi poshida
us ne jab hath milaya to mujhe yaad aaya

talKHi-e-dauran nahin badlegi ye talKHi-e-mai
jam jab samne aaya to mujhe yaad aaya

ret hi ret nazar aati thi ta-hadd-e-nazar
ab ke sailab jo aaya to mujhe yaad aaya

TuTe ghar mein wo thaka haara kabutar sar-e-sham
ghonsla DhunDne aaya to mujhe yaad aaya

zindagi sirf kaDi dhup safar lamba hai
kahin saya nazar aaya to mujhe yaad aaya

is andhere mein kahin hoga ujala kuchh to
main ne dil apna jalaya to mujhe yaad aaya

mera ehsas abhi murda nahin hai shayad
us ne jab mujh ko rulaya to mujhe yaad aaya

sirf matlab ke gharaz ke hain yahan sab rishte
us ne ehsan jataya to mujhe yaad aaya

ek virani hai sannaTa hai aur kuchh bhi nahin
shahr mein apne jab aaya to mujhe yaad aaya

be-yaqini mere ehsas ka sarmaya hai
wo mere samne aaya to mujhe yaad aaya

zindagi ahd-e-guzishta ki purani taqsir
daur-e-hazir ne sataya to mujhe yaad aaya

be-sabaati hi haqiqat hai jahan mein yaro
dil ka bhi zaKHm bhar aaya to mujhe yaad aaya

dil se kuchh us ka talluq nahin rasman mujh ko
dur tak chhoDne aaya to mujhe yaad aaya

kaT gai umr bhaTakte hi bhaTakte 'hairat'
rasta jab nazar aaya to mujhe yaad aaya


Leave a comment

+