Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yogendra Bahal Tishna

  • Ghazal


teri aankhon se mili jumbish meri tahrir ko


terī āñkhoñ se milī jumbish mirī tahrīr ko
kar diyā maiñ ne mukammal ḳhvāb kī ta.abīr ko

jab mohabbat kī kahānī lab pe aatī hai kabhī
vo burā kahte haiñ mujh ko aur maiñ taqdīr ko

uf re ye shor-e-salāsil niiñd sab kī uḌ ga.ī
do rihā.ī aa ke tum pā-basta-e-zanjīr ko

ye araq-ālūda peshānī ye ranj-o-iztirāb
dekh jā aa kar shikast-e-ishq kī tasvīr ko

zindagī yuuñ un ke qadmoñ par nichhāvar maiñ ne kī
jaise parvāna jalā de nuur par taqdīr ko

ai mire ma.asūm qātil itnī mohlat de mujhe
chuum luuñ āñkhoñ se apnī barahna shamshīr ko

jis ne chāhat ke tajassus meñ gañvā dī zindagī
vo kahāñ toḌegā 'tishna' zulm kī zanjīr ko

teri aankhon se mili jumbish meri tahrir ko
kar diya main ne mukammal KHwab ki tabir ko

jab mohabbat ki kahani lab pe aati hai kabhi
wo bura kahte hain mujh ko aur main taqdir ko

uf re ye shor-e-salasil nind sab ki uD gai
do rihai aa ke tum pa-basta-e-zanjir ko

ye araq-aluda peshani ye ranj-o-iztirab
dekh ja aa kar shikast-e-ishq ki taswir ko

zindagi yun un ke qadmon par nichhawar main ne ki
jaise parwana jala de nur par taqdir ko

ai mere masum qatil itni mohlat de mujhe
chum lun aankhon se apni barahna shamshir ko

jis ne chahat ke tajassus mein ganwa di zindagi
wo kahan toDega 'tishna' zulm ki zanjir ko


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+