Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Farrukhabadi

  • Ghazal


kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai


kisī ke ahd kā dil rāzdār aaj bhī hai
na ā.eñge vo magar intizār aaj bhī hai

huī haiñ muddateñ bichhḌe hue magar ham-dam
tire liye mirā dil be-qarār aaj bhī hai

pilā.ī thī jo kabhī tū ne mast āñkhoñ se
surūr us kā usī kā ḳhumār aaj bhī hai

jigar ke zaḳhmoñ ko ashkoñ se ham ne sīñchā hai
chale bhī aao ke fasl-e-bahār aaj bhī hai

fareb-e-ahd-e-mohabbat kā zaḳhm hai taaza
nashāt-e-ishq se dil lāla-zār aaj bhī hai

vo zaḳhm jis ne atā kī thī zindagī 'hairat'
mirī hayāt kā parvardigār aaj bhī hai

kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai
na aaenge wo magar intizar aaj bhi hai

hui hain muddaten bichhDe hue magar ham-dam
tere liye mera dil be-qarar aaj bhi hai

pilai thi jo kabhi tu ne mast aankhon se
surur us ka usi ka KHumar aaj bhi hai

jigar ke zaKHmon ko ashkon se hum ne sincha hai
chale bhi aao ke fasl-e-bahaar aaj bhi hai

fareb-e-ahd-e-mohabbat ka zaKHm hai taza
nashat-e-ishq se dil lala-zar aaj bhi hai

wo zaKHm jis ne ata ki thi zindagi 'hairat'
meri hayat ka parwardigar aaj bhi hai


Leave a comment

+