har bashar kā maqām likkhā hai
sab kā bā-zarf kaam likkhā hai
mere likkhe pe haq kisī kā nahīñ
jo likhā tere naam likkhā hai
ham se likhvā rahā hai kis kā junūñ
kaun hai kis kā kaam likkhā hai
chiir kar dekh le mirā siina
is meñ terā hī naam likkhā hai
soch kar jab kabhī likhā maiñ ne
jo bhī likkhā hai ḳhaam likkhā hai
likhne vāloñ kā kyā kahūñ hamdam
sub.h likkhā hai shaam likkhā hai
ḳhaas likhte haiñ likhne vaale sab
jo likhā ham ne aam likkhā hai
pāniyoñ aur havā pe likh na sake
ham ne dhartī pe naam likkhā hai
jis ko jāgīr apnī vo samjhe
us pe merā bhī naam likkhā hai
zahr hī zahr apne hisse meñ
un kī qismat meñ jaam likkhā hai
us kī rahmat kā kyā gila 'hairat'
dard-o-ġham mere naam likkhā hai
har bashar ka maqam likkha hai
sab ka ba-zarf kaam likkha hai
mere likkhe pe haq kisi ka nahin
jo likha tere nam likkha hai
hum se likhwa raha hai kis ka junun
kaun hai kis ka kaam likkha hai
chir kar dekh le mera sina
is mein tera hi nam likkha hai
soch kar jab kabhi likha main ne
jo bhi likkha hai KHam likkha hai
likhne walon ka kya kahun hamdam
subh likkha hai sham likkha hai
KHas likhte hain likhne wale sab
jo likha hum ne aam likkha hai
paniyon aur hawa pe likh na sake
hum ne dharti pe nam likkha hai
jis ko jagir apni wo samjhe
us pe mera bhi nam likkha hai
zahr hi zahr apne hisse mein
un ki qismat mein jam likkha hai
us ki rahmat ka kya gila 'hairat'
dard-o-gham mere nam likkha hai
Leave a comment