Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Farrukhabadi

  • Ghazal


in dinon ji dukha sa rahta hai


in dinoñ jī dukhā sā rahtā hai
har ghaḌī dil bujhā sā rahtā hai

kitne jhelūñ azaab raat aur din
zehn bhī ab thakā sā rahtā hai

zehn zaḳhmī hai ruuh bhī zaḳhmī
dil meñ mela lagā sā rahtā hai
koī mausam ho badliyoñ kā raaj
ab to sūraj chhupā sā rahtā hai
kis taraf jaa.e ye saḌak jaane
bas ye khaTkā lagā sā rahtā hai
chaar sū nafratoñ kī hai bārish
zaḳhm dil kā harā sā rahtā hai
ik nazar dekh luuñ vatan apnā
jal rahā hai zarā sā rahtā hai
jaane kyā ho gayā hai 'hairat' ko
ḳhud se ḳhud hī ḳhafā sā rahtā hai

in dinon ji dukha sa rahta hai
har ghaDi dil bujha sa rahta hai

kitne jhelun azab raat aur din
zehn bhi ab thaka sa rahta hai

zehn zaKHmi hai ruh bhi zaKHmi
dil mein mela laga sa rahta hai
koi mausam ho badliyon ka raj
ab to suraj chhupa sa rahta hai
kis taraf jae ye saDak jaane
bas ye khaTka laga sa rahta hai
chaar su nafraton ki hai barish
zaKHm dil ka hara sa rahta hai
ek nazar dekh lun watan apna
jal raha hai zara sa rahta hai
jaane kya ho gaya hai 'hairat' ko
KHud se KHud hi KHafa sa rahta hai


Leave a comment

+